NET SAFAR
  • Home
  • Excel Help
    • Excel
    • Excel
    • Excel3
  • About me
    • Child Category 1
      • Sub Child Category 1
      • Sub Child Category 2
      • Sub Child Category 3
    • Child Category 2
    • Child Category 3
    • Child Category 4
  • Contact Me
  • Home
  • Computer
    • Speed badhaye
    • Customize Kare AM/PM
    • Computer Shoutdown kare
  • Mobile
    • Google par Contact store kare
    • Whatsapp
    • Recharge Offer
      • Office
  • Other
    • Child Category 1
      • Sub Child Category 1
      • Sub Child Category 2
      • Sub Child Category 3
    • Child Category 2
    • Child Category 3
    • Child Category 4
  • Excel
    • Online Excel Shikhe
    • Password Set Kare
    • Excel Me Easy Word Find Kare
  • About Me
  • Contact Me

Computer me speed badhane ke liye Tips.

 COMPUTER HELP     No comments   


Kiya Apke Computer ki Speed Slow hai..?

Dosto Aap ka Computer Slow chal Raha hai to Aapko me kuch Tip bata Raha hu.

(A)Aapke Computer me jo Temporary Files hai wo Delete kar dena chahiye.

ye Temporary File kiya hai wo me Aapko batata hu.

Jab Aap koe Software ya File Open karte hai tab uski Ek File Create hoti hai.
ye Temporarily File ko Delete kardeni chahiye.

Kaise Delete kare Temporarily File. .?

Temporarily File Delete karne ke liye.

- Start Button par Click kare.

- Run me jaye.

- %TEMP% Type kare Or Ok Kijiye.

Aapke Samane Sab Temporarily File Dikhae degi, Usko CTRL + A Kar ke All file select kare
or Shift Key ke sath sab File Delete Karde.

(B) Recently File Delete Kare.

Aapne Computer Me Last Me jo File Open ki thi Wo sab File Recent Document me store hoti hai.
Recent Document me bahot File Collection ho jati hai es liye Recently File Delete kar na bahot jaruri hai.

Kaise Delete kare Recently File..?

- Start Button par click kare.

- Run par click kare.

- Recent type kare.

- Ok

Aapke Samne jo File Last me Open ki thi Wo sab File Aajayegi,
 Usko bhi All Select kar ke Shift Key ke Sath Delete karde.

(C) bin Jaruri Programme Uninstall Kare.

Computer ki speed Badhane ke liye ye bhi jaruri hai ki Aapane Computer Me
Jo Programmes or File Bin Jaruri hai es File ko Un install karde.

Kaise Un install kare program..?

- Start par click kare

- control panel Par click kare

- Add or Remove Programme Par Click kare

Aapne Computer Me Jo programme Installed hai wo sab Programmes , Games , Other Software Sab Aajayege.
Jo bin Jaruri Programme hai Usko Uninstall par Click karke uninstall karde.

(D) C Drive Maintain Kare....

Computer ki speed Badhane ke liye C Drive ko Maintain karna jaruri hai.
Aap Jante hoge computer me C Drive main part hai.
C Drive me sirf Operating system ke liye jaruri file hi store Rakhe, C Drive me Apne personal data store na kare.

Apne computer ke desktop par jaruri programme or software ke shortcuts icone Rakhe.
Desktop par koe Other Files store na Kare.

(E) Driver or software latest version use kare.

Dosto Aap jo processor use karte hai uska latested Driver version use kare computer speed badhane ke liye .
Aap jo jaruri software use kar rahe hai wo bhi update version use kare.
Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg

Automatic Computer Shutdown kare....

 COMPUTER HELP     No comments   


Hello Friends.....

Aaj me Aapko Ek Aisha Use Full Command Ke Bare me batana Chahta hu ki Aapko bahot Pasand Aayega.

Dosto Aap jante hai ki Computer Shutdown Karne ke liye Aap Time Set Karke Automatic computer shutdown kar sakte hai....

Kaise Time Set kare Computer Shutdown karne ke liye.

Computer me Time Set karne ke liye koe Software ki Jarurat nahi hai.

Aap Command Prompt ki madad Se Command likh kar Time Set kar Sakte ho.

Chalo jante hai Kaise Command Prompt Open kare or kaise computer shutdown karne ke liye Command likhe.

Step1:-  Start par click kare

Step2:- Run me jaye

Step3:- CMD  Type kare

Step4:- OK

Aap ke Samne Command Prompt khul gaya hai. 


Step5:- Command Prompt me Shutdown /s /t 900 Type kare.

Step6:- Enter Press kare

Aapke Samane left Time ki ek New Windows Aayegi.

15 Minutes ke baad Aapka Computer Shutdown ho jayega.

Dosto Aap koe bhi Time Set kar Sakte hai.

1 Hours ke baad Shutdown karna hai to 60 minutes = 3600 Second.

Aapko ye Command me Second dalna hai.  Shutdown /s /t 3600
Aapke Computer me Download chalu hai or Aap computer se dur jana chahate hai to Aap
Download Completed kab hoga uska andaja laga kar ye Command Set karke Aap Computer Shutdown kar sakte hai.

Command Set karne me koe Problem Aa Rahi hai to Aap Comment me muje bataye me Aap ki help karuga.

Agar Aap ke dimag me Computer se Related koe Question hai to Aap muje bata sakte hai me Aap ki help karuga.
Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg

Kaise Customize Kare AM / PM in Widows xp

 COMPUTER HELP     No comments   


Dosto Aap Taskbar Me jo Clock Dekh Rahe ho Usme AM and PM Ki jagah Par Aapna Name Replace Kar Sakate hai. 


Name Replace Karne Ke liye mere Step Follow Kare.

Step1:- Start Menu Par click kare

Step2:- Run Par click kare.

Step3:- intl.cpl type kare.

Step4:- Ok Par click kare.

Aap Ke Samane Regional and Language Options ki ek New Window Khulegi ye Window me Customize Par click kare.

Customize Par Click Karne Ke baad Aapke Samane Customize Regional Options ki windows open hogi ,



NET SAFAR


Time tab Par click Kare.

AM Symbol ke samane me apani Website ka name type karta hu.

Pm Symbol ke samane me aapna name type karta hu
 

Apply par click kare

Ok par click kare

Regional and Language Options ki Windows me Apply or Ok karde

ab Am or Pm ki jagah par aapna name Replace ho gaya hai.   




Dosto ye jaankari kaisi lagi Aap Comment Kar ke muje bata Sakte hai or Koe Janankari Chahiye to Aap muje bataeye.



Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg

Whatsapp me Broadcast List kaise banaye...

 WHATSAPP     3 comments   

Dosto Aaj Whatsapp ke bina kisiko nahi chalata hai, Sab log Aaj whatsapp ka use karte hai. Or Aap bhi Ek ya do Group ke admin hoge.
Aap ko group Create karna to Ata hoga lekin koe Friends aiesa bhi hai jo whatsapp me broadcast ke bare me nahi pata hai. Don't worry Dosto me Aap ko whatsapp me broadcast list ke bare me jankari batata hu.
Aap ko Ek satha Apane Dosto ko message , Image ya Video Send karna hai to Aap broadcast List bana kar Apane sabhi Dosto ko Ek satha message kar skate hai. Dosto ye bhi janlijiye Broadcast Group se alag hai. Kiyuki Group me Aap ka koe bhi members message,  Image ya Video send karskata hai, or Sab members dekh sakte hai . Broadcast List me aeisa nahi hota hai , Aap jo message sent karte hai wo sab message Apne Dosto ko Personal milta hai, Aapaka Dost ko to aeisa hi lagata hai usane Sirf muje hi message kiya hai. Dosto Aap ke samaj me Aagya hoga group and broadcast kiya hai.
Chalo jante hai broadcast list kaise banate hai or Ek sath Apane alag alag Dosto ko kaise message sent kare. 
Broadcast List banana bahot simple hai.
(1) whatsapp me opction me jaeye.
Jab Aap opction par click karege to Aapake samane or 5 opction Ayega.
www.netsafar.org

-New group
-New broadcast
-whatsapp web
-Status
-Settings
Aap ko dusara wala opction select karna hai new broadcast. 
Usake baad + par touch kijiye or Aap Apne jo friends ko message sent karna chahte hai usako select karlijiye or DONE par touch kare
uske baad CREATE Par touch karlijiye.
Aap ka broadcast list Create ho gaya hai Aap usaka Name bhi Rakh sakte hai,
ab Aap usme jo message send karege wo sab message Ek sath Apane Dosto ko usko personal mil jayege.
Dosto Aapko samaj me Aagaye hoge ye group se alag hai or Aap ka time bhi bachega.
Dosto or jo options hai uske bare me bhi me Aap ko sort me bata du.
First - Opction hai NEW GROUP uske bare me to Aap jante hai naya group banane me use hota hai.
Second - Opction hai NEW BROADCAST uske bare me to mene sab yaha bata diya hai.
Third- Opction hai WHATSAPP WEB  usaka use Aap computer me whatsapp use karana chahate hai to use hota hai.
Fourth-Opction hai status hai Aap whatsup me Ek status Rakh sakate hai usme use hota hai.
Fifth-Opction hai Settings Aap whatsup me kuch setting karna chahate hai usme use hota hai.

Kiya Aap whatsup ka backup lena chahte hai....?
pahele setting me jaeye uske baad chats and calls par touch kijiye
 usake baad backup chats par touch kijiye Aap ka  whatsapp ka backup ban gaya hai. wo backup phone memory me store hoga.

Dosto ye jaankari kaisi lagi Aap comment me muje bata sakte hai, or kuch jaanna chahate hai to muje comment kare me Aap ki help haruga.
Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg

Google Account par Contact kaise store kare....

 MOBILE     No comments   

Dosto Aaj ye Computer yug me sab ke pas Smart Phone hoga. Ye smart phone me bahot sare Contact , sms , Apps......etc hoga.
Kabhi bhi Aapaka phone band ho Sakata hai !Ya Reset lagana padata hai,
Jab Aapane phone ko Reset laga diya to usame Jo Data hai wo bhi Delete ho jayega. Or Aap bahot paresan ho jayege. ye sab problems ko hata ne ke liye Aap Apne sare contact Google Account me store kar skate hai.
Aap Google Account me contact kaise store kare wo me batata hu.
(1) pahele Aap jo contact store karna hai wo contact number Apne mobile me write kijiye.
(2) usake baad Aap Add contacts par touch kijiye.
(3) usake baad create contact par touch kijiye.


Aap pahela opction dekhiye usme Aap ko contact kaha store karna hai wo batayega.
- Google Account me
- Phone me
- sim card me
Aap Google Account select kar dijiye.
or Other details dal na hai Name , Groups , Birth date wo sab dal dijiye . or Save button par click kar dijiye.
Aap ka contact Aapka jo Google Account hai usme store ho gaya hai.
Ab Aap ye contact ko synchronization kar sakate hai.
Google Account par Aap unlimited contacts store kar skate hai. Dosto Aap Apne contact ka backup bhi le sakate hai.
Usake liye Aap ko  application download karni padegi.
Play store par bahot sari application mil jayegi.

Ye application ki help se Aap Application , Sms , contacts , call logs , Sabka Backup le sakate hai.
Backup le ne ke baad jo backup hai usako Aap Apne E-mail Id par ya pain drive me koe bhi jagah par Rakha sakte hai.
Or Aap ka phone Re-set lagana pade to Aap important data wapis le sakate hai.
Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg

Recharge Offer Kaise Jane.....

 RECHARGE OFFER.   

Dosto Aaj Technology Ke Yug Me Sab ke Pas Mobile To hoga ,
Aaj me Apako Ek bahot Use full web site ki link share kar Raha hu,
wo web site hai Mobile Rechare plane.
Aap Apane Moblie me Recharge to dalwate hi hoge !
ye website ki Help se Apako Recharge plans ke bare me sab
information mil jayegi.
ye website par Sms, 2G , 3G , Local ,Std , isd ...etc Sab
information  mil jayegi.
Recharge dalwane Time par Kiya Aap Aapani Recharge Offer check karate ho ?
jo Check karate ho to bahot badiya hai.
Jo nahi karate ho to Pahele Aapani Recharge Offer check karalena chahiye.
ye website par Sirf Apako jo sim Card Use kar rahe ho wo select karna hai.
(AIRCEL, AIRTE , BSNL , TATA DOCOMO , IDEA , RELIANCE , UNINOR , VODA FONE....Etc).
uske baad Apako State select karna hai. (gujarat , punjab , kerala , mumbai.....Etc).
uske baad views plans par click kare.
apako recharge offer ki sari jaankari mil jayegi.
Uski Application bhi Aap Download kar sakate hai.



VIEW YOUR RECHARGE PLANS...

CLICK HERE...


Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg

Online Excel Shikhe...

 EXCEL HELP   


Dosto Aap Jante hoge Microsoft Excel bahot usefull hai.

Aap Office Work kar Rahe hai to Data store Karne ke liye , 
Hisab Kitab karne ke liye , Calculations Kar ne ke liye Microsoft Excel bahot use full hai.

Aap Microsoft Excel ki madad Se Office Work Easyliy kar Sakte hai. 

Is liye Aap ke Pass Microsoft Excel ka Knowledge hona jaruri hai,

Aap Microsoft Excel Aasani Se Shikhana Chahate ho to me Aapko 

Microsoft Excel ke liye ek link bata Raha hu ( wo English me hai)

Muje Internet par Searching karna bahot Pasand hai,

muje Internet par Searching karte karte Excel Shikhane ke liye Easy Excel ki Website mili.

Ye Website ki madad Se Me bahot Excel Shikha hu.


Ye Website me Aap ke Sath Share Karna Chahta hu is liye Online Excel Shikhe Article likha Raha hu.


Aaj mere pass Microsoft Excel ka jayada knowledge hai. Ye website ki madad se me excel and vba shikha hu.


Online excel Shikh ne ke liye yaha click kare,

EASY EXCEL 
 Dosto Aap ke pass Microsoft Excel se related koe bhi questions hai to
 Aap muje bata sakte hai me Aap ki help karuga


Thank you
Read More
  • Share This:  
  •  Facebook
  •  Twitter
  •  Google+
  •  Stumble
  •  Digg
Newer Posts Older Posts Home

Pages

  • About us
  • Contact Me

Categories

  • COMPUTER HELP
  • COMPUTER MAGIC
  • DIWALI
  • EXCEL HELP
  • GOLD RATE
  • MOBILE
  • PINE CODE AND STD CODE
  • RECHARGE OFFER.
  • WHATSAPP

Social Follow

Facebook Subscribe To RSS

Email follow

Enter your email address:

Delivered by FeedBurner

Popular Posts

  • Keyboard Me Numeric Key ki madad se Mouse ka arrow chalaye.
    hello friends...... Aaj hum Janege bina Mouse ke apne Desktop Par arrow kaise chalaye. dosto ye ek Magic trick hai, ham Mouse ke bin...
  • Microsoft Excel 2007 me Kaise Password Set kare
    hi... Friends.... Mene last Post Me Excel ke bare me bataya tha. ab Microsoft Excel 2007 me Password kaise Set kiya jata hai uske bare me ...
  • Whatsapp me Broadcast List kaise banaye...
    Dosto Aaj Whatsapp ke bina kisiko nahi chalata hai, Sab log Aaj whatsapp ka use karte hai. Or Aap bhi Ek ya do Group ke admin hoge. Aap ko ...
  • Mircosoft Excel ki File Me kaise Password Remove kare.....
    hi friends, Aaj hum Mircosoft Excel ki File Me kaise Password Remove kare Uske bare me janege, Dosto Aap ka Data koe chura na le is liye Mi...
  • Use Full Program - Files And Folder ka Run Command Kaise banaye.
    Hello dosto aap Jante hoge Run Command hamare liye kitna use Full hai Run Command ki madad Se hum Computer me Speedliy Files Folder And Pr...
  • Run Command ki History Clear Kare...
    Mene last Post me Run Ke liye Command kaise banaye uske bare me bataya tha. aaj hum janege Run Command ki hostory kaise Delete kar Sakte...
  • Excel me ek se jayda Sheet me word kaise find kare..
    Dosto mene last post me aapko shikhaya tha excel me kaise password set kare . Aaj ham janege Microsoft Excel me ek se jayda Sheet me word ka...
  • Automatic Computer Shutdown kare....
    Hello Friends..... Aaj me Aapko Ek Aisha Use Full Command Ke Bare me batana Chahta hu ki Aapko bahot Pasand Aayega. Dosto Aap jante hai ki C...
  • Computer me speed badhane ke liye Tips.
    Kiya Apke Computer ki Speed Slow hai..? Dosto Aap ka Computer Slow chal Raha hai to Aapko me kuch Tip bata Raha hu. (A)Aapke Computer me jo ...
  • Google Account par Contact kaise store kare....
    Dosto Aaj ye Computer yug me sab ke pas Smart Phone hoga. Ye smart phone me bahot sare Contact , sms , Apps......etc hoga. Kabhi bhi Aapaka...
Powered by Blogger.

www.netsafar.org

About Me

My photo
JAYESH
View my complete profile

Email Par Subscribe Kare



widgets

Blog Archive

Copyright © NET SAFAR | Powered by Blogger
Design by Hardeep Asrani | Blogger Theme by NewBloggerThemes.com | Distributed By Gooyaabi Templates