Kiya Apke Computer ki Speed Slow hai..?
Dosto Aap ka Computer Slow chal Raha hai to Aapko me kuch Tip bata Raha hu.
(A)Aapke Computer me jo Temporary Files hai wo Delete kar dena chahiye.
ye Temporary File kiya hai wo me Aapko batata hu.
Jab Aap koe Software ya File Open karte hai tab uski Ek File Create hoti hai.
ye Temporarily File ko Delete kardeni chahiye.
Kaise Delete kare Temporarily File. .?
Temporarily File Delete karne ke liye.
- Start Button par Click kare.
- Run me jaye.
- %TEMP% Type kare Or Ok Kijiye.
Aapke Samane Sab Temporarily File Dikhae degi, Usko CTRL + A Kar ke All file select kare
or Shift Key ke sath sab File Delete Karde.
(B) Recently File Delete Kare.
Aapne Computer Me Last Me jo File Open ki thi Wo sab File Recent Document me store hoti hai.
Recent Document me bahot File Collection ho jati hai es liye Recently File Delete kar na bahot jaruri hai.
Kaise Delete kare Recently File..?
- Start Button par click kare.
- Run par click kare.
- Recent type kare.
- Ok
Aapke Samne jo File Last me Open ki thi Wo sab File Aajayegi,
Usko bhi All Select kar ke Shift Key ke Sath Delete karde.
(C) bin Jaruri Programme Uninstall Kare.
Computer ki speed Badhane ke liye ye bhi jaruri hai ki Aapane Computer Me
Jo Programmes or File Bin Jaruri hai es File ko Un install karde.
Kaise Un install kare program..?
- Start par click kare
- control panel Par click kare
- Add or Remove Programme Par Click kare
Aapne Computer Me Jo programme Installed hai wo sab Programmes , Games , Other Software Sab Aajayege.
Jo bin Jaruri Programme hai Usko Uninstall par Click karke uninstall karde.
(D) C Drive Maintain Kare....
Computer ki speed Badhane ke liye C Drive ko Maintain karna jaruri hai.
Aap Jante hoge computer me C Drive main part hai.
C Drive me sirf Operating system ke liye jaruri file hi store Rakhe, C Drive me Apne personal data store na kare.
Apne computer ke desktop par jaruri programme or software ke shortcuts icone Rakhe.
Desktop par koe Other Files store na Kare.
(E) Driver or software latest version use kare.
Dosto Aap jo processor use karte hai uska latested Driver version use kare computer speed badhane ke liye .
Aap jo jaruri software use kar rahe hai wo bhi update version use kare.
0 comments:
Post a Comment