Run Command ki madad Se hum Computer me Speedliy Files Folder And Program Open kar Sakte hai
Jo User Mouse ka use Jayda nahi karte hai sirf Keyboard ka use karte hai uske liye Run Command banana jaruri hai.
Run kaise Open kare ?
Run Open karne ka 2 tarika hai
(1) Window Key ke sath R Press kare , Windows Key + R
(2) Start par Click kare And Run par Click kare.
Pahele hum Bydefault Command ke bare me janege.
Run Open kare or CMD type kare , And Enter Press kare.
aap ke samane Command Prompt Open hoga.
Run Open kare or NOTEPAD type kare And Enter Press kare.
aap ke samane Notepad Open hoga
Run Open kare or EXCEL type kare And Enter Press kare
aap ke samane Microsoft Excel Open hoga.
Run Command ki madad se hum Calculator bhi Open kar sakte hai
Run Open kare calc type kare And Enter press kare
aap ke samane Calculator Open ho jayega
ye sab Bydefault Run Comman hai.
aaj hum janege Usefull Programs , Files And Folder ka Run Comman kaise banasakate hai.
Run ke liye Command banana bahot Easy And Simple hai.
Run Command banane ke liye meri step follow kare.
Step1- apne Desktop par Right click kare
Step2 - New par click kare
Step-3 - New par click karne ke baad uska Option open hoga usme Shortcut pasand kare.
Step4 - Create Shirtcut ki ek New Window Open hogi , usme Browse par click kare.
Step5 - aap ko jo Programs , Files ya Folder jiska Shortcut Command banana hai wo Select kare.
Step6 - uske baad Netxt par click kare.
Step7 - aap jo Shortcut ka naam rakhana chahate hai wo naam type kare
Step8 - Finish par click karde.
aap ke desktop par aap ne jo programs , files ya folder select kiya hai ,uska ek shortcut create ho gaya hai.
aap usko Cut karke aapne C drive me Windows ke Folder me Paste karde.
Dosto run ke liye aap ka command create ho gaya hai ,
aap run open karke ab use kar sakte hai.
Run Command Create karne me koe problem aarahi hai to muje Comment kar ke bata sakte hai
Computer and internet se Releted koe bhi question aap muje bata sakate hai me aap ki help karuga.
Dosto hum next post me janege Run Command ki History kaise Delete kare.
*** Thank you ***
0 comments:
Post a Comment