Hello Friends.....
Aaj me Aapko Ek Aisha Use Full Command Ke Bare me batana Chahta hu ki Aapko bahot Pasand Aayega.
Dosto Aap jante hai ki Computer Shutdown Karne ke liye Aap Time Set Karke Automatic computer shutdown kar sakte hai....
Kaise Time Set kare Computer Shutdown karne ke liye.
Computer me Time Set karne ke liye koe Software ki Jarurat nahi hai.
Aap Command Prompt ki madad Se Command likh kar Time Set kar Sakte ho.
Chalo jante hai Kaise Command Prompt Open kare or kaise computer shutdown karne ke liye Command likhe.
Step1:- Start par click kare
Step2:- Run me jaye
Step3:- CMD Type kare
Step4:- OK
Aap ke Samne Command Prompt khul gaya hai.
Step5:- Command Prompt me Shutdown /s /t 900 Type kare.
Step6:- Enter Press kare
Aapke Samane left Time ki ek New Windows Aayegi.
15 Minutes ke baad Aapka Computer Shutdown ho jayega.
Dosto Aap koe bhi Time Set kar Sakte hai.
1 Hours ke baad Shutdown karna hai to 60 minutes = 3600 Second.
Aapko ye Command me Second dalna hai. Shutdown /s /t 3600
Aapke Computer me Download chalu hai or Aap computer se dur jana chahate hai to Aap
Download Completed kab hoga uska andaja laga kar ye Command Set karke Aap Computer Shutdown kar sakte hai.
Command Set karne me koe Problem Aa Rahi hai to Aap Comment me muje bataye me Aap ki help karuga.
Agar Aap ke dimag me Computer se Related koe Question hai to Aap muje bata sakte hai me Aap ki help karuga.
0 comments:
Post a Comment